Top 3 Best gaming keyboards under 1500

Top 3 Best gaming keyboards under 1500

Aaj me aapko 1500 RS. ke under best quality vale gaming keyboards ke bare me bataunga. Jisko aap rat me bhi bade aaram se use kar sakte ho. Aur ye sab keyboards ki warranty 1-year ki hai.

best gaming keyboard under 1500


Top 3 Best gaming keyboards under 1500


Best gaming keyboards under 1500 Feature Buy link
Chiptronex Kranos Gaming Keyboard Prefect RGB lighting gaming keyboard
Evo Fox Gaming Keyboard Mechanical feel Buy
Redragon Karura Gaming Keyboard Silent gaming keyboard Buy

1) chiptronex Kranos Gaming Keyboard

best keyboard for gaming budget





Build & Design

Chiptronex ka yah keyboard ek perfect RGB lighting gaming keyboard hai. Isme 7 color ke RGB modes & effects mil jate hai. Aap is RGB light ki brightness & speed adjust kar sakte ho. Aur RGB color style ko aap apne tarike se customize kar sakte ho. ab baat karte hai iski keys ki, to Iski keys laser printed hai is liye iske characters me bhi light jalti hai aur iski light ki brightness bahot badiya hai. Is keyboard ke sath aap dark night me typing ya gaming karoge to aapko maja aayega.

Isame 1.8m lambba braided cable hai jo high-quality ka cable hai. aur is keyboard ki body plastic se bani hui hai.Is keyboard me typing karte vakt toda bahot mechanical feel mil jata hai but yah Ek membrane keyboard hai

Keyboard ke back side me rubber pad mil jate hai jisse gaming karte vakat hath ki movement ke sath keyboard move nai hota aur iske stand par bhi rubber pad mil jate hai

Features

Isame 25 anti-ghosting keys hai ( anti ghosting keys means, jab aap gaming ke time ek sath 3-4 ya usse jyada key press karte ho to yah keyboard ek sath un sab keys ka input le leta hai. Jabki normal keyboard me aisa nahi hota) Gaming ke vakt Fn+windows keypress karke aap windows key ko lock kar sakte ho.Aur isme 10 multimedia keys ka support mil jayega

Iske niche ke bhag me wrist support mil jata hai jiske karan keyboard use karte vakt aapki kalai ko aaram milta hai

Unique feature

Jab aap keyboard 10-minute tak use nai karte to isaki RGB lighting automatically off ho jati ha;. jiske karan jyda power waste nahi hota.

Negative points

Isaki brightness function key & numpad me thodi low hai. Aur isaki keys daytime me RGB lighting ke bina properly nahi dikhti.

2) Evo Fox Gaming Keyboard

budget keyboard for gaming



Build & Design

Evo Fox ke yah keyboard ka look premium keyboard jaisa hai. iski keys raise hone ke karan yah ek mechanical keyboard jaisa dikhta hai. aur isko use karte vakt mechanical feel aata hai but ye ek membrane gaming Keyboard hai. Isame 1.5 m lammba braided cable hai jo exta durability cable hai aur better data transmissions ke liye magnetic ring bhi hai.

Is keyboard me good quality wale plastic ka use hua hai Aur Keystrokes ki life 10 Million hai aur keys Laser printed hai. Is keyboard ki build quality isake price ke mukable badiya hai.

Isame 3 rainbow color (Red,green,blue) ki LED backlit hai aur isme sirf breathing effect & Static mode mil jata hai. aur iski speed & brightness ham adjust kar sakte hai. Isake back side me rubber grips mil jate hai par un rubber grips ki quality badiya nahi hai.

Features

Isame 19 Anti-Ghosting Keys mil jati hai aur 12 multi-media keys ka bhi support mil jata hai.Gaming ke vakt window key ko lock bhi kar sakate ho.

Fn+W press karke WASD keys ko arrows keys ke sath swap kar sakate hai.

Is keyboard me galti se pani gir jata hai to pani keyboard ke ander nahi jata, matalab yah thoda bahot waterproof hai.

Negative points

Yah Ek TKL(Ten Key Less) keyboard hai, matlab isme numpad nahi hai, isake karn ise space saving keyboard kaha jata hai.

Isme typing karte vakt noise hota hai aur iske backlit ki light change nahi kar sakate aur isme sirf breathing & static mode hai.

3) Redragon Karura Gaming Keyboard

best cheap gaming keyboard




Build & Design

Redragon ka yah ek silent gaming keyboard hai. Isaki keys laptop ke keys ki tarh silent hai, is liye is keyboard ko bina kisi aavaj ke rat ko use kar sakte ho. Isaki keys soft press hoti hai aur responsive hai. Yah ek membrane gaming keyboard hai. Iska cable gold plated usb aur braide cable hai jo good quality ka mana jata hai

Isme 6 different light modes & effects hai aur Isme lights sirf buttons me jalti hai, button ke aaju-baju nahi jalti, is liye ye badiya look deta hai. Aur iski light ki brightness aur speed adjust kar sakate ho. Aur back side me badiya rubber grips mil jate hai jisse gaming ke vakt keyboard move nahi hoga.

Features

Isame bhi FN+W key press karke WASD keys ko Arrows Keys ke sath swap kar sakate ho. Aur isme 12 multimedia keys ka support aur window key lock ka option mil jata hai. Yah anti ghosting keyboard hai but isme some time ghosting issue hota hai

Yah Splash Proof hai (mens, Ispe galti se pani gir jaye to yah pani keyboard ke andar nahi jata) Aur keyboard ke niche ke bhag me wrist rest (palm rest) hai, jisse typing & gaming ke vakt palm ko aaram milega

Negative points

Keys ke bich space thodi kharab hai, is liye gaming ke vakt galt key press ho jati hai, par aap thoda use karoge to aapka hath keyboard pe bith jaye ga.

Is keyboard ko dust free rakhna musakil hai aur is keyboard ko thode time tak use karane ke bad ispe finger-print chap jati hai, Is liye ise bar bar clean karna padta hai.

Final words

Upar ke tino keyboards, under 1500 ke budget me badiya keyboard hai. Agr aapko pro lighting keyboard chahiye to aap No.1 vala Chiptronex ka buy kar sakte ho. But mechanical feel vala chahiye to No.2 vala Evo Fox buy kar sakte ho

Aur aapko meri tarh silent keyboards pasnd hai to aap no.3 vala Redragon ya no.1 vala Chiptronex buy kar sakte ho.